Friday, March 15, 2024

Old Blog Post ko Update kese kare ? How to Optimize old content in Hindi । Blog Website Ko Google Ke First Page Par Rank kese kare?

By:   Last Updated: in: ,


Dosto , Bhaut sare Blogger hai. Jo apna blogg apne jankari ke anushar bana to liye hai. Lekin unka blogg search engine me na hi achhe se rank kar pati hai.   or na hi wo usse koi engring kr pate hai. Wese to eske bahut se karan hote hai.  Lekin unme se ek karan ye bhi hai. Ki wo apne blogg ko time to time apdet nahi karte hai. Eska karan kuch bhi ho sakta hai. Blogg post ko bhi regular updet karna bahut jaruri hai.  

Old Blog Post ko Update kese kare ? How to Optimize old content in Hindi । Blog Website Ko Google Ke First Page Par Rank kese kare?

Ab sawal ye aata hai . Ki apne blogspot ko updet kese kare. Yaa up to date kese rakhe. (How to updet old blogspot in hindi)


Lekin apne paas abhi 2 sawal hai. Ek ye ki blog ke purane post ko updet kaise kare. Or dusre sawal ye hai. Ki apne pure blog ko updet kaise rakhe. Taaki achhe trafic bhi aaye or achha se kamai bhi ho. 


To chaliye sabse pahle ye janate hai. Ki apne blog ke purane post ya content ko updet kaise kare.


Wese to bahar sare tarike hai. Jisse blogger apne blogg post ko updet karte hai. Lekin mere anubhav ke hisab se aaj me un me se jo sabse best or easy way tarike hai. Use batane jaa raha hai. 



To agar aap ek achhe blogger banana chahte hai. To ese pura padhiyega. Tabhi apko achhe se samjh me aayega. Ki purane blog post ko updet karke blogg pr trafic lane ka kya khel hai. To chaliye shuru karte hai. Niche Top 10 tarike diye gaye jisse apne purane blog post ko updet kar sakte hai. Ab sawal number 1 se 


Old Blog Post ko Update kese kare ? How to Optimize old content in Hindi । Blog Website Ko Google Ke First Page Par Rank kese kare? 

  Step.1 Title ko chota likhe jo asani se samjh me aa jaye. 


Google Algorithm ke anusaar blog post ka title 60 careter se jyada nahi hona chahiye . Esiliye title ko jab bhi likhe to esa likhe ki title chhota bhi ho or use padhne ke baad ye samjh me aa jaye. Ki blogg post kis baare me hai. 


Sabse achha ye hai. Ki talite me single keywords istmal kare.esse tatilte apne aap chhota ho jayega. Single keywords istamal karne se ye fyada hota hai. Ki uska back link banane me asan hota hai. Hame sirf ek hi keywords ko lekar uska promotion karna hota hai. 


Jab ham singal keywords wala title likhte hai. To ese google me rank karne me bhi asani hoti hai. Or ham apne content ko bhi pura kar sakte hai. Blog post ka title esa home chahiye jese ki film ka naam se puri film dekhne ke baad pata chale ki kahani kya hai. 

Blogging full information

 

Behtarin Title Generator Tools kon - kon se hai?   


Step.2 Deep color image or thumbnail lagaye ।


Apne Blogg post me jo ham photo lagate hai , or jiska thumbnail banata hai. Wo kam se kam quality ka hona chahiye , Taki jab visitors blog par aaye to us par click jarur kare. Or blogg post ko padhe. 


Jese ham koi image ya photo dekhte hai. To use apne istemal me laane ke liye download jarur karte hai. Kyo ki wo hame ese attract karta hai. Ki ham use download kiye bina nahi rahte hai. 


Ek sawdhani or bhi barte kisi dusre blogg se koi image lekAr apne blogg par naa lagaye. Nahi to copy write claims ho sakta hai. Or Google bhi aapke site ko penalize kar sakta hai. 


Esse achhha hai. Ki bahut sare creative common license free ya royalty free website moujud hai. Jaha se aap hd image download kar ke apne blogg par istmal kar sakte hai. Jese ki example ke liye suttor stock or bhi , 

 

Step.3 Post ko current information ke sath updet kare ? 

Har samay partek chetra me kuch naa kuch badlaw jarur hote rahte hai. Use trah apne blogg post ko bhi samy ke sath current information se updet karte rahna chahiye , 


Google har samay algorithms me koi naa koi updet karta hai. Uske anusar agar apne blogg post ko uptet nahi karenge to ranking par asar kar sakta hai. 


Digital chetra me agar aap updet nahi rahenge to apka compititar apko piche kar sakta hai. Or apne blogg se jo paise kamane ka aapka goal hoga wo samay se pura nahi ho sakta hai. 


Blog post ko current information ke sath updet karna esiliye jaruri hai. Taaki google me rankings bani rahe yaa ranking uper badhe. 


Step.4 Paragraphs ko 2 yaa 3 line me hi likhe 

Paragraphs ko chhota yaani 2 yaa 3 line me likhna chahiye kyo ki aap khud soch sakte hai. Ki jyada bada yaa lendi paragraphs padhna achha lagta hai. Yaa chhota paragraph padhne me asani hoti hai. Jese es post me likha gya hai. 


Bahut sare blogger hai. Jo es contents writings formula ka upyog karke apne blogg ko readability ko badhaya hai. Chhota paragraph hone se visitors ko blogg post scan karne me dikkat nahi hoti hai. Or ek baat user kabhi contents ko padhne me Bada nahi hota hai. 


Paragraphs writing ek skills bhi hota hai. Jiski digital world me bhaut demand hai. Agar aap paragraph likhne me expert ban jaye to achhe earning kar sakte hai. 


Paragraphs Writing se jude huyi kuch sawal jo aapko or madad kar skati hai. 

         Blogging full information 


Wese to esse judi huyi bahut sare sawal hai. Liken philhal hamlog itna samjhe ki blog post ka paragraph short , simple , scalable , Or achhe readability ke sath hona chahiye . 


Step.5 Jyada CTR wala link add kare.

Apne Blog post ke paragraph me ya uske bich me jyada ctr wala link add kar sakte hai. Ek paragraphs me ek se jyada link naa lagaye jyada link lagane se ek to achha nahi lagta hai link spreming bhi ho sakta hai. 


Aab aap puchoge ki jyada ctr wala link kya hai. Yaa yah kesa hota hai. To mr apko bata du. Ki wesa link jispar aap click kiye bina naa rah sakte hai. Agar aap inserting link apne blog post me lagte hai. To esse aapke blog ka bounce rate kam ho sakta hai. Nahi to bhi nahi 

 

Blogg ke koi bhi information ke liye es link par click karke jarur padhe. Esme apko blogg se releted post padhne ko mil jayega. Jisse aap apne blogg ko sahi se control kar skate hai. 


Step.6 Apne Likhawat or spelling ko sahi kare. 

Bahut sare blogg post ese likhe hote hai . Ki padhne par kuch samay me hi nahi aata hai. Or spelling yaa sabd me bhi apna old blog post apdet kare to es baat ka khash khayal rakhe. Ki aapka likhne ka tarika , agar aap English me likhte hai. To Grammar and spelling ka galti nahi hona chahiye. 


Bahut sare beginners blogger kisi dusre ka content ko copy ya translate karke apne blogg par chadha deta hai. Lekin usme koi Error hai.ki ye bhi check nahi karte hai. Jabki internet par bahut sare free grammar and spelling checker Tools moujud hai. Jiske madhyam se aap bilkul sahi content likh sakte hai. 


Step.7 Apne Dusre post ka internat ranking kare 

Jab aap purane blog post ko apdet kar rahe hai. To eska matlab ye hai. Ki aapke paas pahle se hi bahut sare blogg post moujud hai. To jab kisi bhi post ko apdet kare to apne blog ke purane post ko linking us post me jarur kare. Taaki Jab koi rider es post par lend kare to link kiye huye us post ko bhi padhe. Or jaldi se us page ko chhod kar naa jaye. Esse Bounce rate ghatata hai. 


Blogg yaa blog post ka bounce rate 30% se jyada nahi hona chahiye usse blogg ki Ranking or popularity par asar karta hai. 


Step.8 Apne Old Blog post ko republic kare 

Aab sawal ye hai. Ki apne old blog post ko Republic kese kare.



Agar Aap blogger par blog banaye hai. To uske publish date section me jaa kar current date ko daal kar Republic kar sakte hai. Or important keywords daal kar description ko bhi updet kar de. Yaa current date or time ka ek code aata hai. Aap use bhi content section ke pahle istemal kar sakte hai. 

 

Aab blog post dubara se index or cache hoga to wo date and time apne aap description ariya me dikhayega udharan ke liye niche diye image se samjhe 

Old Blog Post ko Update kese kare ? How to Optimize old content in Hindi । Blog Website Ko Google Ke First Page Par Rank kese kare?


Or agar aap wordpress par blogging karte hai. To usme bhi  date and time ko updet karne ka opsan hota hai. 


Step.9 updet karte samay ye galti na kare. 

Blog post updet karte samay kuch sawdhani bartne ki jarurt hoti hai. To kam se kam uptet karte samay ye galti kabhi naa kare. 


Blogg post uptet karte samay post ke URL ko yaani pramanik me kuch bhi badlaw naa kare. Agar aap esa karte hai. To wo aapka naya blogg post ho jayega. Or uska jo Bhi back link hoga wo break link me count hona shuru ho jayega. Jo Google kabhi bhi sahi manyta nahi dete hai. Or aapka ranking badhne ke badle ghat bhi jaa sakti hai. 


Eske saath hi aap jis post ke URL ke sath ched chhad karnge wo post apka 404 ka Error ho jayega. Jese ki aap niche image me dekh sakte hai. Eske sath 404 ka Error post 2 mahine tak error hi rahega. 

Old Blog Post ko Update kese kare ? How to Optimize old content in Hindi । Blog Website Ko Google Ke First Page Par Rank kese kare?


To es baat ka khash khayal rakhe ki post ke link me koi bhi chhed chhad nahi ho to achha hai. Nahi to  bahut jyada khamiyaja uthana padega. 


Step.10 Post ko apdet karke use promotion kare .

Jab aapka old blog post refresh ho jaye to apne subscribe , reader , or users ko sosial media site ke madad se unhe updates ke baare me jarur bataye. Taaki unko bhi ye pata chale ki  kuch naya information hai. 


Bahut sare sosial networking site hai. Jiske madhyam se aap turant apne blog ko promotion kar ke bahut jyada trafic apne blog par laa sakte hai. Adhik jankari ke liye niche diye gaye link ke madhyam se padhe. 


Online Promotion Kya hai Site ko Promote kar ke esse paise kese kamaye? 

Top 8 sosial site se paye lakho ke trafic or lakho ke income Sath hi Article likh kar ke bhi aap hamse paise kamaa sakte hai. 

Google Adsense or Blogging ke baare me puri jankari


Dosto apne blogg ke purane post ko samay ke sath optimize karna utna hi jaruri hai. Jitna market me khud ko updet rakhna hota hai. Kyoki ek kahawat hai. Ki jo dikhta hai. Wahi bikata hai. Agar aap apne blogging se kuch nahi bahut paise kamana chahte hai. To es step ko apko follow karna hi hoga nahi to sirf aap apna time west karoge. 


Dosto mene apne traf se puri koshish ki hai. Ki apko puri jankari mile ki apne blog ke old post ko updet kese kare. Lekin apko lagta hai. Kuch baaki rah gya hai. Yaa esse judi huyi or koi sawal abhi bhi aapke man me aa rahe hai. To apna sawal hame comment box me jarur bataye. Taaki ham aapke liye kuch madad kar de . Eske sath hi apko kuch hamse help mil jaye. 


To dosto ese hi amazing fects ko lagatar padhne ke liye hamare blogg ko subscribe jarur kare. Taaki apko harek naye post ke updet milta rahe 


To aaj ke liye itna hi ab ham chalte hai phir milenge new post ke sath tab tak hamare blogg ke anth tak bane rahne ke liye aap sabhi logo ka dil se dhanyawad ,,,,,,,


Website kaise banaye in Hindi

Apni website kaise banaye mobile se

Professional website kaise banaye

इ कॉमर्स वेबसाइट कैसे बनाये

मोबाइल से वेबसाइट कैसे बनाये

बिजनेस वेबसाइट कैसे बनाये

HTML Se Website Kaise Banaye in Hindi

Blogger website kaise banaye

न्यूज़ वेबसाइट कैसे बनाये

गूगल पेज कैसे बनाये

अपने नाम की वेबसाइट कैसे बनाएं

Google par apni website kaise banaye Free me

Website kaise banaye 2021

Instagram website kaise banaye

No comments:
Write comment